-->

Type something and hit enter

ads here
By On
advertise here
Usay Kehna, Kitabon Main Rakhe Huay Kuch Sookhay Phool
Us K Lout Aane Ka Yakeen Ab Tak Dilaate Hain
Usay Kehna K Us Ki Jheel Si Aankhain Kisi Manzar Pay Chaa Jaayen
Toh Sab Manzar Yunhi Phir Bheeg Jaate Hain
Usay Kehna K Thandi Barf Par Koi Kisi K Sath Chalta Hay
Toh Qadmon K Nisha’n Phir Say Usi K Lout Aanay K Nisha’n
Dil Par Banaate Hain
Usay Kehna K Uski Bheegti Aankhon Ka Wo Aansu
Sitaare Ki Tarah Ab Bhi Hamain Shab Bhar Jagata Hay
Usay Kehna K Baarish Khirkiyon Pay Us K Aansuon Say
Naqsh O Nigaar Banati Hay
Usi Ka Naam Likhti Hay
Usay Hi Gungunaati Hay
Usay Kehna K Khushboo, Chandni, Taare, Raste, Ghata, Kajal
Mohabat, Shabnam, Hawaein, Raat, Din, Badal
Sabhi Naraz Hain Hamse
Usay Kehna Judaai K Darakhton Par Jo Sookhi Tehniyaan Hain
Wo Saari Barf Ki Chadar Main Kab Ki Dhak Chuki Hain
Aur Unki Shaakhon Pay Yaadon K
Jo Pattay Thay Sunehri Ho Gaye Hain
Usay Kehna December So Gaya Hay
Aur Yakh Basta Wo Bheegi January Phir Lout Aayi Hay
Usay Kehna K Ab Lout Aaye
Usay Kehna K Ab Toh Lout Aaye.

Click to comment